Monday, November 21, 2011

Tera aane ki dua...

Tere wapas aane ki dua bhi na kar saka,
Na tere jaane ka gila kar sakaa,
Yeh hi taqdir ha meri,
Is muqadar ke saamne bhi kuch na kar saka.

Tanha Rehna seekh raha hu,
Mar ke jeena seekh raha hu,
Maang ke jeena seekh liya ha,
Ab paa ke jeena seekh raha hu.

Kisi ke Ishq mein kya paigam aate ha,
Kabhi khushi kabhi gam ke paigam aate ha,
Ab toh andhere ne bhi saath chod diya ,
Suna tha zarurat mein apne hi kaam aate ha.